How to add adsense ads on all post on the blogger blog ? blogger me blog ke sabhi Post Me Adsense ads kaise lagaye ? full information in hindi
How to add adsense ads on all post on the blogger blog ? blogger me blog ke sabhi Post Me Adsense ads kaise lagaye ? full information in hindi
Hello friends! Namaskar! Aap Sabhi ka mere blog "Gyan Ka Phool" me swagat hai. Doston, aaj ke is post "How to add adsense ads on all post on the blogger blog ? blogger me blog ke sabhi Post Me Adsense ads kaise lagaye ? full information in hindi" me main aapko bataunga ki blog par kis prakar blog ke sabhi post me ek sath adds lagaya jata hai. Yadi aapko apne blog me yaa blog ke kisi post yaa page me ads lagane me muskilen mahsoos ho raha hai, yaa koi confusion hai, jisse aap ads nhi lagaa pa rahe hai yaa koi errror aa raha hai ads lagane ke duaran ? in sabhi samasyaon kaa hal aap ko is Post ko padhne ke bad aap jarrur jan jaege. aapko apne blog me ek sath ads lagana jarur aa jaega.
![]() |
How to add adsense ads on all post on the blogger blog ? blogger me blog ke sabhi Post Me Adsense ads kaise lagaye ? full information in hindi |
How to add adsense ads on all post on the blogger blog ? blogger me blog ke sabhi Post Me Adsense ads kaise lagaye ?
Doston! blog ke sabhi post me google adsense ke ads ko yadi aap menual rup se lagaenge to aapko bahut mehnat karna padjaega. kyon ki aapko apne blog ke post likhate samaya sabhi post ke bich bich me adsense ke ads ke coding ko add karna pad jaega. jiske karn se aapko extra mehnat karna pad jaega.
Wahin isme ek pareshani yaah bhi aapko aapko face karna pad sakta hai ki, aapko adsense approval hone ke bad adsense ke ads ke coding ko pahle se published blog post me post ke bich bich me add lagane ke lie re-edit karna pad sakta hai. in sabhi muskilon kaa samana aapko blog me adsense ke ads lagane ke lie samnaa karna pad sakta hai.
Doston! inhi sabhi samasyaon ko kaphi had tak tak khatm karne ke lie hum aaj aapke lie ek solution lekar aae hai. jiske istemal se aap apne blog me badi aasani se ads laga sakte hai. Yah google adsense kaa ads aapke blog post me bade saralta ke sath work karega. Yah ads aapke blog ke sabhi post me automatic show hone lagega. Jisse aapko blog ke post me bar bar ads lagane me pareshani nahi hoga.
How to add adsense ads on all post on the blogger blog ?
Blog me google adsense ke ads lagane hetu niche diye gaye steps ko follow kijiye -
1. Step : Login Blogger blog :
Sabse pahle apko apne computer system me blogger dashboard ko open karna hoga. Jiske lie aapko blogger blog me Login karna hoga.
Aap apne Computer yaa mobile phone me crome browser yaa aap jis bhi browser kaa istemal internet browsing me karte hai, usme badi aasani se blogger dashboard me login kar sakte hai.
2. Step : Blogger Blog Dashboard :
Blgger blog me login karne ke bad jo window aapke samne pradarshit hoga wo aapka blogger dashboard hoga.
3. Step : Open Template Menu On Blogger Blog Dashboard :
Ab aapko apne blogger blog ke dashboard me blog ke left side pradarshit hone wale menu me "Template" Option kaa chayan karna hai.
![]() |
How to add adsense ads on all post on the blogger blog ? blogger me blog ke sabhi Post Me Adsense ads kaise lagaye ? full information in hindi |
4. Step : Click On Edit Html :
Ab aapko blog ke right side Show hone wale deshboard me "Edit Html" ke option me click karna hai.
![]() |
How to add adsense ads on all post on the blogger blog ? blogger me blog ke sabhi Post Me Adsense ads kaise lagaye ? full information in hindi |
Edit Html par click karne ke bad aapke samne aapke blog ke template kaa sampuran coding open ho jaega.
5. Step : Find This coding -"<data:post.body/>" :
Ab aapko apen blogger blog ke template ke coding me " <data:post.body/> " Coding ko search karna hai.
![]() |
How to add adsense ads on all post on the blogger blog ? blogger me blog ke sabhi Post Me Adsense ads kaise lagaye ? full information in hindi |
![]() |
How to add adsense ads on all post on the blogger blog ? blogger me blog ke sabhi Post Me Adsense ads kaise lagaye ? full information in hindi |
6. Step : Copy This coding :
Ab aapko niche diye gaye coding copy kar lena hai.
<b:if cond='data:blog.pageType == "item"'>
<div align="center">
add here your adsense ads coding
</div>
</b:if>
7. Step : Past Coding :
Upar Copy kie gye coding ko aapko apne blog ke template coding me find kiye gye coding <data:post.body/> ke Upar arthat <data:post.body/> coding se pahle paste kr dena hai.
8. Step : Replace Adsense Coding On the Paste Coding :
Ab aapko paste kiye gaye coding me adsense ads ke coding ko - "add here your adsense ads coding" text word ke upar replace kar dena hai.
9. Step : Save The Blog Template :
Ab aapko apne blog ke Template ke coding ko Save kar dena hai.
Doston ! Upar diye coding ko aap apne blog me add karne badi aasani se apne blog me google adsense ke ads show karwa sakte hai.
Suggetions for Ads Placement :
Suggetions - 1:
Upar diye gye coding -
<b:if cond='data:blog.pageType == "item"'><div align="center">add here your adsense ads coding</div></b:if>
Me yadi aap ads ke placement ko change karna chahte hai to aap is coding ko thoda aur modify kar sakte hai. Arthat aap upar diye gye codng me -
<div align="center">
Me "Center" Ke Sthan par "Left" Yaa "Right" bhi rakh sakte hai. jiske anusar aapke blog me add kiye gye coding work karta hai ya show hota hai.
Jisse aap apne blog me ads ko post me "left, Right yaa center" me display karwa sakte hai.
Suggetions - 2 :
Yadi aapke blog me upar diye gye ads ke coding ko <data:post.body/> ke upar paste krne ke dauran google adsense kaa ads show nhi hota hai to aap apne blog me coding ko <data:post.body/> ke niche bhi paste karke try kar sakte hai. aapke blog me isse ads ke placement me changes saf najar aaega.
Suggetions - 3 :
Aapke blog me ke Template me <data:post.body/> Coding 1 se lekar 3 yaa 4 bar ho sakte hai. aapko apne blog me upar diye gye coding ko 2nd wale <data:post.body/> coding se pahle yaa coding ke bad me bari bari se paste karke dekhane hai.
Jahan par ads kaa placement aapko thik jachta hai aap wahine coding ko rakh sakte hai.
Conclusion :
Frinds! I hope aapko hamara yah post "How to add adsense ads on all post on the blogger blog ? blogger me blog ke sabhi Post Me Adsense ads kaise lagaye ? full information in hindi " jarur pasand aayaa hoga. Is post me bataye gaye tarikon ya steps ko follow karke aap apne blog me sabhi post me jarur ek sath google adsense ke ads laga paenge.
Yadi aapko apne blog me hamare dwara batai gyaee tarike se google adsense ke ads lagane me koi pareshani yaa probulm aata hai, to kripyaa hame comment ke madhyam se jarur bataiye. hum aapke blog me google adsense ke ads lagane ke lie purn rup se prayashrat rahenge.
Is Post "How to add adsense ads on all post on the blogger blog ? blogger me blog ke sabhi Post Me Adsense ads kaise lagaye ? full information in hindi" ko apne doston ke sath share jajur kijie, taki unhe bhi blog me ads lagane ki is trick yaa vidhi kaa knowledge prapt ho sake. Apne Sawal aur sujhav jarur bhejie.
Is post ko padhne ke lie aapka sadar dhanyawad.
Jay Hind! Jay Hindi!!
Vande Matram!!!
COMMENTS