Zip Ya Winzip File Kya Hoti Hai ? Mobie aur Computer Me Zip File Ko Open Kaise Kare ? Zip File Ke Fayde aur Nukshan ki puri jankari hindi me
Zip Ya Winzip File Kya Hoti Hai ? Mobie aur Computer Me Zip File Ko Open Kaise Kare ? Zip File Ke Fayde aur Nukshan ki puri jankari hindi me
hellow Friends! Namaskar! aap sabhi kaa mere blog "gyan kaa phool" me hardik swagat hai. doston aaj ke is post kaa hamara topic hai - "Zip Ya Winzip File Kya Hoti Hai ? Mobie aur Computer Me Zip File Ko Open Kaise Kare ? Zip File Ke Fayde aur Nukshan ki puri jankari hindi me"
Jisme aaj mai aapko "Zip Ya Winzip File Kya Hoti Hai ? Mobie aur Computer Me Zip File Ko Open Kaise Kare ? Zip File Ke Fayde aur Nukshan ki puri jankari hindi me" batane jaa raha hu.
To Doston Yadi aap Zip File Sambandhit in sabhi parkar ki jankariyan ko janna chahte hai to main aapse request kar raha hu ki aap yaah hamara specil post "Zip Ya Winzip File Kya Hoti Hai ? Mobie aur Computer Me Zip File Ko Open Kaise Kare ? Zip File Ke Fayde aur Nukshan ki puri jankari hindi me" ko pura jarur padhiye. To Chalie Doston , hum apne aaj ke topic ki or chalte hai aur zip file ke bare me purn jankaariyan prapt karte hai.
Doston! Is Post me aap janege ki -
- Zip File kya hoti hai ?
- Phone Ya Computer me Zip File ko kaise khola jata hai?
- Zip File ko kholne ke lie kaun kaun se apps kaa upyog kiya jata hai?
- Zip File ka kya upyog hai, iskaa istemall kyu kiya jata hai ?
- Zip File ke kya fayde hai ?
- Zip File ke kya nuksan hai ?
- Zip File ko password protect kaise kare?
- Zip file me Virus Hota hai yaa nhi hota hai ?
- Password protected Zip fiel kaa password kaise tode ?
ityadi sabhi prakar ke questions kaa uttar is post me niche diya gya hai. chaliye doston, ab in sabhi prasno ke bare me vistar se ek ek karke jante hai.
1. Zip File Kya hoti hai [ What Is Zip File ? ]
Ans : Zip File ek Compressed file hoti hai jisme kais prakar ke data aur directories included hote hai. Zip file kaa size samanya file ke size se bahut chhota hota hai. zip file kaa extansion name .zip hota hai. Zip file formate me kisi bhi prakar ke samanya file ko Compress kiyaa jata hai evm file kaa formate yaa extansion change hokar ke ".Zip" Extansion name ke sath nyaa zip file banta hai. Zip file dwara badi badi file ko zip file me convert karke kam jagah / space me rakhaa jaa sakta hai. is karan zip file kaa upyog kiya jata hai.
![]() |
Zip Ya Winzip File Kya Hoti Hai ? Mobie aur Computer Me Zip File Ko Open Kaise Kare ? Zip File Ke Fayde aur Nukshan ki puri jankari hindi me |
Zip file jo ki comprassed file hoti hai usme suraksha ke dristi se password bhi lagaya jaa sakta hai. is file kaa extainsion name ".zip" hota hai. fassword lagane se zip file ko binaa password ke koi nahi khol sakta hai. Ye feture zip file me data ko suraksha pradaan karne ke liye diya jata hai.
Zip file ke dwara ek se jyaada files ko (chahe unkaa extainsion name jo bhi ho) ek sath compress karke ek zip file bna diya jata hai. yah bnne wala file hi zip file kahlata hai. jab is zip file ko extract kiya jata hai to, purv ke sabhi file ko vapas prapt kar liya jata hai, jin filon kaa upyog zip file bannae me kiya gya hota hoi. is prakar zip file bahut hi faydamand hota hai.
yadi kahi par hame manlo 20 alag alag file send karna hai to, hu alag alag files send karne ke bajae un 20 files ko ek zip file bana denge. uske bad hum usi ek files ko send kar sakte hai. uske bad samane wala recive karne wala vyakti us zip file ko extract karke un included 20 files ko aasani se prapt kar lega. is prakar viruso se suraksa ki dristi se file transfer kane ke le zip file kaa upyog kiyaa jata hai.
2. Phone Ya Computer Me Zip File Ko Open Kaise kare ?
Doston! zip file bahut hi mahatwapurn file hota hai. jiska upyog bahut jyada file tarnsfer karne yaa upload yaaa download karne ke dauran hota hi hai sath me zip formate dwaara file jyaada share kiye jate hai.
Zip Ya Winzip File Kya Hoti Hai ? Mobie aur Computer Me Zip File Ko Open Kaise Kare ? Zip File Ke Fayde aur Nukshan ki puri jankari hindi me |
Files ko zip formate me share karne ke lie unhe zip file bnana hoga. jabki yaadi kisi zip file ke files ko dekhana ho yaa unhe extract karna ho to bhi hume zip software yaa zip app ki jarurat hoti hai. kai mobile me ye feture pahle se aate hai. jabki kisi kisi phone me yaah zip feture nahi hota hai. ese me hum us phone yaa mobile me zip app install karke aasani se zip feture kaa istemal kar sakte hai.
wahi computer me zip feture kaa upyog karne ke lie zip software ko install karna hota hai. uske baad zip feture kaa upyog karke files ko zip, extract aadi aasani se kiyaa jata hai.
Mobile ya Computer me Zip feture install karne ke liye vibhinn prakar ke apps yaa software aate hai . jinko install karke mobile yaa compute me zip feture kaa istemall kiya jaa sakta hai.
Mobile ya computer me zip file feture ka upygo karne ke liye app yaa software ke rup me "Winzip App" yaa Sotware kaa upyog kiyaa jata hai. iske alava bhi anyaa kai tarah ke zip apps yaa softwares hai jinka istemall computer yaa mobile me zip feture kaa upyog karne ke lie kiya jata hai.
Mobile me zip feture ka use karne ke lie aapko apne mobile phone me ZArchiver name kaa app install karna hoga. ise aap mobile phone me app store yaa play store se aasani se download karke install kar sakte hai. Iss application ko install karne ke bad aap apne mobile me zip feture ka upyog aasani se kar paege.
Iske lie in steps ko follow kijie -
- Sabse pahle Phone yaa mobile me "Google Play store" Open Kijie.
- Google Play store me "ZArchiver" name kaa apps download kijie.
- Application download karne ke bad Use apne mobile phone me install kar lijie.
- Application installation karte waqt "Storage Access purmission dene ke lie aapko "allow" option select kar dena hai.
- "ZArchiver" install hone ke bad aapko is app ko open karna hai . jisse file explorer jaisa window aapko dekhane ko milega.
- Ab aapko us file ko select kar lena hai jis zip file ko aap open karna chahte hai.
- Zip File ko select kar lene ke bad aap unzip karne ke liye us file par "Click" kare.
- File par click karne par aap dekhenge ki samne ek menu khulta hai jisme , Extract To. / <archive Name> / Par click krna hai. jiske bad vah zip file unzip hona chalu ho jaega.
- Jab Zip file purn rup se process purn hone par unzip ho jaega tab hum us file ko Zip file folder me jaakar aasani se dekh sakte hai. zip file un zip hone ke duran "Zip File Folder" me unzip hokar sabhi file save ho jata hai.
Is prakar aap "ZArchiver" kaa isntemall karke kisi bhi mobile phone me zip files ko aasani se open kar sakte hai.
3. Best Apps or Softwares for Zip File :
Zip Files ko kholen ke lie vibhinn prakar ke apps yaa software kaa upyog kiya jata hai. computer aur mobile phone ke lie playstore yaa app store me vibhinn prakar ke zip file ke leeye sofwares maujud hai. jinkaa istemall aap inhe download karke phone yaa computer me install karne ke bad kar sakte hai.
Yahan hum aapko kuchh kahas zip file sofware yaa app ke naam de rahe hai jinkaa istemall aap aasani se zip file ko open karne yaaa zip karne ke lie kar sakte hai.
Ye apps yaa Zip Softwares nimn likhit hai. -
- RAR,
- ZArchiver,
- WinZip
- Zip Unzip Tool
Doston! Waise to Google play store me bahut sare apps aap dekh sakte hai. jinme se kisi bhi zip app kaa istemall aap zip file ko manage karne ke lie kar sakte hai. wahi computer ke lie bhi aapko kai prakar ke zip sotwares milte hai. jyadatar zip file ko manange karne ke lie upar batae gaye softwares kaa hi adhiktam upyog kiya jata hai. inko donwlod karke aap aasani se istemall kar sakte hai.
4. Zip File Istemal Karne kaa Karan:
Zip File istemall karne ke kai karn hai dosto, jinme se paramukh karna file ko compress karna hai. File ko compress ya zip karne kaa ekmatra uddeshya ye hai ki isse file kaa size kam ho jata hai. jisse is naye zip file ko kahi bhi share karna aasan ho jata hai. ise internet yaa email par file kaa size kam hone se aasani se share kiya jaa sakta hai yaa upload yaa download kiya jaa sakta hai.
Zip file istemall karne se data karch bhi upload yaa download karne ke dauran bahut kam hi hota hai. kyu ki zip file me file kaa aakar compressed hokar kam ho jata hai. jise upload yaa download karne ke dauran jayada data balance kaa istemall nahi hota hai. jisse internet kaa kam istemall hota hai . .is karna zip file kaa istemall internet me yaa disk me kisi bhi file ko store yaa share karene ke lie zip formate kaa upyog yaa zip file feture kaa upyog kiyaa jata hai.
5. Zip File ke Fayade [ Adwantages of Zip File ] :
Doston! Zip File ke Fayado [ Adwantages of Zip File ] ki bat kiya jae to iske fayde ke rup me file ke size kaa kam hona pramukh fayda hai. kyonki zip feture kaa upyog karne se original file kaa size zip file me kam ho jata hai.
file kaa size kam hone se us file ko aasani se internet me share kiya jaa sakta hai. iske aalava us file ko download aur upload karne ke dauran internet kaa kharcha kam aata hai.
zip file kam size me hone ke karan use kahin bhi share karne yaa transfer karne me samay ki bhi bachat hoti hai. file kaa size jitana kam hoga woh file utna hi jaldi share hoga arthat yaa upload ya download utna hi jaldi hoga.
Zip Ya Winzip File Kya Hoti Hai ? Mobie aur Computer Me Zip File Ko Open Kaise Kare ? Zip File Ke Fayde aur Nukshan ki puri jankari hindi me |
Doston! yadi aap chahte hai ki aapke mobile ya computer me disk kaa jyada upyog na ho, yaa apke mobile yaa computer me disk kaa space bacha rahe to iske lie aapko apne computer yaa mobile me files ko store karne ke lie zip formate kaa upyog jarur karna chahie. kyoki isse file kaa aakar kam ho jaega. jisse aapke computer yaa mobile me hard disk me jagah kaa kam istemal hoga jisse aapke mobile ya computer kaa hard disk me space bacha rahega. isse aapke mobile me hang hone jaisee kisi bhi prakar ki samasyaen bhi nahi aaega. aur aapka file bhi surakshit formate me rahega. jisko aap aasani se kahin bhi share kar sakte hai.
Jab aapko apne orignal data file ki jarurat mahsoos ho to aap us dauran apne zip file ko extract karke / unzip karke apne orignal files ko wapas prapt kar sakte hai. is liey doston! apne mobile yaa computer me aapko zip file feture kaa upygo aapko jarur karna chahie.
6. Password Protection On Zip File :
Doston! yadi aap chahe to aap apne zip file ko Passward ke sath protect bhi kar sakte hai. yadi aap apne orignal file ki suraksha chahte hai to aapko apne orignal file ko zip file banakar us zip file me maujud data ko password lagakar aasani se protect kar sakte hai. jisse koi bhi anya vyakti us file me maujud data ko open nhi kar paega jisse usko us file me maujud data ke bare me pata nhi chal paega.
is prakar aap zip file ka istemal karke apne file ko protect kar sakte hai. jisko bina password ke nahi khola jaa sakta. is prakar password protection se us zip file me maujud data kaa protection ho jata hai.
7. Dis - Adwantages of Zip File [ Zip File Ke Nuksan ]
Doston! Zip file ke fayde ke sath sath zip file feture ke instemall karne se kuchh nuksan bhi hote hai. lekin yee nuksan zip file ke adwantages ya fayde ki tulana me bahut kam hota hai.
Zip Ya Winzip File Kya Hoti Hai ? Mobie aur Computer Me Zip File Ko Open Kaise Kare ? Zip File Ke Fayde aur Nukshan ki puri jankari hindi me |
yadi zip file ke nuksan ya dis - adwantages ki bat kiya jae to isme jo mukhya disadwantages yaa nuksan zip file ka hi wo hai -
1. Zip file me maujud file kaa damaze ho jana.
2. Zip file kaa Currup ho jana.
3. Data Loasses ki samasyaen.
Doston! ye hi do Dis-Adwantages hai jo ki zip file ko unzip karte waqt dekhane ko milta hai. zip file ko unzip karne ke duran kabhi kabhi aapko jo file milta hai wah currupt hua milta hai. yaa kabhi kabhi aapko Damage file milta hai.
lekin ye sirf kuch hi files me kuchh karnon se hota hai. sabhi files me is tarah ke problums dekhne ko nahi milta hai. jyadatar is parkar ki problum ya data losses ki samasyaen bade bade files me dekhane ko milta hai.
8. Virus on Zip file [ Kya Zip file me virus ho skta hai ]
Doston!Zip file me virus kaa hona yaa na hona us zip file ke nirmata ke upar nirbhar karta hai. ydi zip file ko banane wale nirmata ne us zip file ko nirman karte waqt us zip file me virus ko include kiya tha / virus ko dala tha to us file me virus hoga.
aur yadi us zip file ko banane wale ne us zip file me virus file nahi dala tha to us file me virus nahi hoga. is prakar se kisi bhi zip file me virus kaa hona yaa na hona us zip file ke nirmata ke upar hi nirbhar karta hai.
Conclusion :
Doston! Zip file ek esa file formate hai jo ki kisi bhi orignal file ke aakar ko zip banakar kam kar deta hai. is prakar kisi bhi file ke aakar ko kam karne ke lie hi zip feture ka istemall kiya jata hai. Zip file ke is feture kaa istemal kiye jane se naye zip file ko share ya transfer karna aasan ho jata hai. sath hi use disk me store karna bhi aasan ho jata hai. inhi adwantages ko dekhate hue zip file feture kaa upyog data ko manange kaarne ke lie kiya jata hai.
Is Artical me aapne zip file ke bare me samast prakar ki jankariyan prapt kiya. ab aap zip file aur zip file ko istemall karne ke fayade ke bare me aasani se samajh gye honge. sath hi aap zip file ko unzip karna aur zip file banate waqt password kaa istemall karna aur password lagane ke fayadon ko bhi achhi tarah se jan chuke honge.
inhi aasah aur vishwash ke sath hamara yah team "Gyan Ka Phool" aapko is website me visite karne aur is artical ko read karne ke lie dhanyawad karta hai. aur aapse yah request bhi karta hai ki isi prakar se naveen jankariyan padhne ke lie is website par bar bar visite jarur karte rahe. sath hi is website ke lekh jo shikshaprad ho unhe apne doston aur priwarloan aur apne shubh chintakon tak jarur share karen. is prakar is website me maujud samagri ka sada upyo karte rahe.
Is post me aapne Padha :
"Zip Ya Winzip File Kya Hoti Hai ? Mobie aur Computer Me Zip File Ko Open Kaise Kare ? Zip File Ke Fayde aur Nukshan ki puri jankari hindi me"
Is Post me aapko kisi bhi prakar ki samasya ho ya aapke man me kisi bhi prakar ki koi sawal uth rha ho to aap niche comment karke apne sawal ya prasno ke utar jan sakte hai. hum aapke prasanon ke uttar aapko reply karne ka jald se jald purn prayas karenge.
Sadar Dhanyawad!
COMMENTS