how to add schema markup coding in blogger post ? || seo with schema markup coding On blog || schema markup kya hai ? Schema Markup Beginner Guide i
how to add schema markup coding in blogger post ? || seo with schema markup coding On blog || schema markup kya hai ?
hellow, Friends, Namaskar! aap Sabi kaa mere blog "gyan ka phool" me hardik swagat hai. mai hu aapka dost "Suraj singh joshi". doston aaaj ka hamara post hai - "how to add schema markup coding in blogger post ? || seo with schema markup coding On blog || schema markup kya hai ?". aaj ke is post me hum janege ki "schema markup kya hai ? aur Blogger Post ke liye Schema Markup Kaise add kiya jata hai." iske bare me puri jankari.
To chaliye doston .. jante hai ki blogger ya wordpress me :
- Schema markup ko kaise generate kiya jata hai. ?
- Blog post me Schema markup ko kaise add kiya jata hai.?
- Blog post me Schema markup ko kyo add kiya jata hai ?
- Blog post me Schema markup ko add karne ke kya fayde ya adwantages hai ?
In sabhi prasno ka uttar aaj aapko milne wala hai. Yadi aap apne blog ka seo ya search engine optimization sahi tarike se karna chate hai to aapko apne blog me schema markup language yaa coding kaa istemal aapko apne blog me karna hoga. jis prakar aap apne post ke lie contant likhate hai, usi prakar aapko apne blog ke pratyek post ke lie contant ke sath sath schema script yaa coding ko bhi taiyar karna hoga. jo ki aapke contant ke sath hi aapke post me htm / javascript me published rahega.
Doston! yadi aap apne blog ke sabhi pages yaa post ko google, bing, yahoo ya duniaa ki kisi bhi search engine me first rank me top me show karwanaa chahte hai to aapko apne blog me post likhate wakt schema markup coding ko taiyar karna hoga. jisko apko apne blog ke post me add karna hoga. yahi aapke post ko google searh engine yaa dunia ke kisi bhi search engine me first no me aapke artical ya post ko show karega.
aaiye jante hai ki "schema markup language ko blog post me kaise add kiya jata hi. sath sath aage hum iske fayde yaa adwantage" ityadi ke bare me bhi vistar se janege.
how to add schema markup coding in blogger post ? || seo with schema markup coding On blog || schema markup kya hai ?
1. What is schema markup Coding/ Script ? schema markup Coding kya hai ?
Doston! Schema markup script yaa coding ek tarah kaa khas html coding hota hai jo ki javascript language me likha hota hai. jisme aapke blog post ke sambandhit mahatwapurn jankariya hoti hai. jo ki script language me hoti hai. inhe aapke blog me aapke contant ke sath hi publish kiya jata hai.
"Schema Markup" ek structure data vocabulary Hota hai jise internet par Website designing me blog page yaa post creation ke dauran post ke rank ko searche engine optimization dware increase karne hetu entities, actions, and relationships define krne hetu inka use blog yaa website me javascript ke formate me kiya jata hai. Iske coding ko aap khud bhi likh sakte hai means ise likha jaa sakta hai yaa kisi "schema markup generator ki help se iska coding generate kiya jaa sakta hai.
2. Who Make "Schema Markup" Script Coding :
Schema Markup Script ko internet ki sabse badi company jo internet me searching karne kaa kam karta hai aur duniya jise search engine ke nam se janta hai jo Google, Yandex, Microsoft, Yahoo hai. inhone aur inke sath dunia ke kai aur search engines ne mil kar ise banaya hai. Yah search engine optimization yaa seo kaa ek project hai.
Html yaa javascript ke formate me schema markup script yaa coding ko blog post me add kiya jata hai.
3. Adwantages of Schema Markup" Script Coding || Schema Use karne ke fayde :
Doston! Schema markup ko search engine optimization ko behtar aur high banane ke lie kisi blog me post yaa page me add kiya jata hai. yah generaly html yaa javascript language me likha gya ek coding hota hai. jisme post, publisher, wirter, blog, title, post date, modify date etc kaa purn vivran rahta hai. jo ki visesh script me hota hai. jise search engine samjhta hai. ise scrip yaa coding ko samajh kar hi search engine aapko post ko apne reselt me top position me show karte hai. yadi aap apne blog me jayada se jayada traffic lana chahte hai, to aapko apne post ko search me top me show karwana hoga . Schema markup bhi iske lie seo ko behtar bnata hai. jisse aapka post search engine me top pe show hota hai.
Related Posts
Blog yaa website me schema markup kaa istemal karke aap search engine me show hone wale result me apne pages ya blog post ke reviews, rating, ya votes ke sath sath aap date aur post ke author ke bare me puri jankariyaa search engine me resutlt ke sath top postion me show karwa sakte hai. isse aapke post me click ke chances bahut jayada badh jata hai. isse aapko organic traffic prapt hota hai. jisse aapke blog kaa earnning badhta hai.
Aap google search console ki help se bhi ise setting kar sakte hai. iske lie aapko google search console me aapko Appearance menu me data highlighter aa feture milta hai. aap google search console me Structure Data Testing Tool ki madad se ise check kar sakte hai.
Is prakaar se aapke post me contant ke sath schema coding yaa schema script ko add kiye jane se seo yaa search engine optimization sahi tarike se hota hai. isse aapke post ka SEO rank high hota hai. aapkaa Google SERP page resutl me show hone lagta hai. Jo ki is prakar se high seo ke bina asambhav hai.
4. How to Generate Schema Markup script for blog or post. ?
Doston! Yadi aap apne blog me schema markup laganaa chahte hai to aapko kisi blog gerator se schema markup script ko generate karna hoga. Jise aap apne blog me istemal kr sakege.
Blog me Schema markup script add kerne hetu niche diye gye steps ko follow kijie –
1. Sabse pahle aap “Technicalseo” ki website ko open kijie.
2. Technicalseo ki website ko open kr lene ke bad aapko us website me ek form milta hi. aap form ko feelup kr lijie. Jiske bad aapko “schema markup script” generate script formate me aapko milta hai.
Aapko technicalseo ki website ke form me nimnlikhit jankaira add karni hai –
- Article Type : aapko sabse pahle article type me apne blog ke category ko select kr lena hai. Aap diye gye menu me apne blog ke lie article type ko select kr sakte hia. Jiske bad aapko apen blog kaa url uske samne wale text box me add krna hoga. Aap apne blog ya website ke link ko copy karke paste kar sakte hai.
- Headline : Headline me aapko apne blog ke post kaa title ko aap add kr sakte hai.
- Image url : image url me aap apne post ke image ke url ko copy karke add kar sakte hai. Aapke blog me ek se jyada image hone ki dasah me aap + icon ko click karke aur feeld aad kar sakte hai jissse aap ek se adhik images ko bhi add kar sakte hai.
- Author : Author ke feeld me aapko apna name type karna hai.
- Author Url : Author url me aapko apne Contact us page kaa url de sakte hai. Yaa aapka alg se koi page hai to uska url address aap dal sakte hai.
- Publisher : Ab agla jo text box hi wo publisher kaa hai. Aapko Publisher wale text box me form me apna name type karna hai. Yahan yadi aapke blog kaa koi logo image hai to aap uskaa link add kar sakte hai. Yadi nahi hi to aap blank hi rahne dijiye.
- Date Published : Doston, Publishedd date wale text box me aap apne blog post ke published date add kar sakte hai. Jis tarik ko aap apna post bna rahe hai aap us date ko is feeld me add kar sakte hai. Yadi aap is feeld ko add nhi karna chahte hai to aap is feeld ko khali chhode sakte hai.
- Date Modified : Is feeld me aap apne page ko update karne ki tarik dal sakte hai. Yadi aap is feeld ko add karna chahte hai to text add kar sakte hai. Nahi to blank chhode sakte hai.
Ye sabhi feeld form me feelup ho jane ke bad aapko “left side” me schema markup script kaa html/ javascript coding milega.
Aapko Schema markup language ke is coding ko copy kr lena hai. Aur isee coding ko aapko apne blog ke post me add karna hoga.
Coding ko blog post me add krne ke lie niche diye gye steps ko follow kijie.
5. How to add Schema Markup in Blog or post. ?
Doston, Blog post me schema markup ke script yaa coding ko add karne ke lie aapko apne apne blogger post me schema markup script yaa coding ko add krna hoga.
Blog post me schema markup coding ko add karne ke lie niche diye gye steps ko follow kijiye .
- Sabse Pahle aapko apne "blogger" account me log in karna hai.
- Blogger me login karne ke bad aap us blog ka chayan kar lijie jiseme aap schema markup script add karna chahte hai.
- blog kaa chayan kr lene ke bad ab aaapko dashboard me left side menu me post menu me click krna hai.
- post menu me click karne ke bad aapke blog ke sabhi post show hone lagege. aapko us post ko open karna hai jiske lie aap "Schema Markup script" generate kiye hai.
- Post open ho jane ke bad post ka layout ko "Html/ Javascript" formate me change kar dijiye.
- Ab post ke last me aapko "Schema Markup Script" kaa coding ko add kr dena hai.
Note : Dyan rahe doston, ye schema markup coding wahi coding hai jise aapne technicalseo ki website me jakar apne post ke lie taiyar kiya tha.
is parkar aapa coding ko post me add kar lene ke bad aap apen post ko save kar sakte hai. aapke post me "Schema markup script" kaa codiing safalta purwak add ho chuka hai.
is prakar aap apne blog ke sabhi post ke lie schema script kaa coding taiyar kar sakte hai aur use apne blog me add kar sakte hai.
6. Conclusion :
Doston! Ab aap ko pta chal gya hoga ki blog ya website me Schema markup kaa istemal kyu kiya jata hi. iska karan yahi hai doston ki kisi bhi website ke post yaa page ka title, URL and description hi search engine me show hota hai isse jyada kisi blog ya website ke bare me kuch bhi show nhi hota. jisse user ko hamare post yaa blog ke bare me pta chale jabki schema markup language script ke istmemal karne se search engine me kisi vyakti ko hamara post search kiye jane ke daurna jo result show hota hai usme title, URL and description ke ke sath sath hmare dwara taiyar webesite ke pages ka google search engine yaa anya search engine me result show hone ke daurna rating, votes, date, author name ke sath sath review tak show hota hai. isse hamare blog ke bare me jyaada se jyada jankariya search engine me show hota hai. jisse hamare post me click hone ke chanses kaphi badh jata hi. jisse blog me traffic badhta hai . is karn se kisi bhi blog yaa website me pages yaa post me schema markup script ya coding ko add kiya jata hai.
Upar aapko “Schema Markup” ke sambandh me aapko purajankari dia gya. Jisme aapko janne ko mila ki Schema markup kya hota hai? Schma markup script ka use blog ya post me kyu kiya jata hai? Blog yaa post me schema markup script coding ko istemal kiye jane ke kya fayde ya adwantages hote hai ? ityadi mahatwapurn prasno ke uttar aapko is post me prastut kiya gya.
Aasha hai aapko hamara jankariyon bhara yah post “how to add schema markup coding in blogger post ? || seo with schema markup coding On blog || schema markup kya hai ?” jarur pasand aaya hoga.
Isi tarah ke aur bhi mahatwapurn post padhne ke lie samay samay par hamare blog me visite karte rahe. Hum aapke lie isi tarah ke post humesha late rahte hai. Is post ko socialmedia plateform me apne doston aur relatives ke share karke hume support jarur kijie.
Is Post me Aapne Padha :
"how to add schema markup coding in blogger post ? || seo with schema markup coding On blog || Schema Markup Beginner Guide in Hindi " Ant me, is post ko padhne ke lie aapko sadar dhanyawad.
- Jai johar!
- Jai sree ram!
- Vande matram!!
- Jai hind!! Jai hindi!!!!
COMMENTS